welcome


I made this widget at MyFlashFetish.com.

Sunday, March 1, 2009

Raat itni haseen thi

Raat itni haseen thi
Ke saare so rahe the
Hum hi aise badnaseeb the
Jo aap ki yaad main ro rahe the

Yaaron mar bhi gaya to,
Aarti meri dafnaa dena
Utha kar janaza mera,
Unki gali ghuma dena
Agar wo mera pata puche to
Shamshaan ghaat bata dena




Milna hai to mil
isee duniya ke chaman main
Phir kya milna hoga,
Jab laaash hogi kaphan main

Maine tujhe dekha,
handle badal badal kar
Tere baap ne mujhe peeta,
sandle badal badal kar

Yusuf ka husn, Zulekha ka ghumaar dekha hai
Kuch is tarah se Haseenon ka pyaar dekha hai
Unhe khilane pilaane main hui hai yeh haalat
Kasm khuda ki..Cinema bhi udhaar dekha hai



Gul gaya, Gulshan gaya, Gaye honthon ki laaali
Ab to peeecha chor de, main ho gaye bachchon waali


Kamaata nahin hun itni ke tujhe roze khilaoon
Aaati hai to aaa ja, ya kisi aur ko pataooon


Chandni raat thi, main so rahi thi
Phir kisi ne darwaza khutkhataya
Maine soncha mera dil aaya
Darwaza khol ker dekha to bijli ka bill aaaya


Katchi Kali Katchnar Ki, Katcha Na Samajhna
Lar Jaoonga Tere Baap Se Batcha Na Samajhna


Angoothi Chanak Gaye, Nageena Nikal Gaya
Afsos Tera Baap, Kameena Nikal Gaya


Maana Ke Main Pura Musalman To Nahi
Par Apne Deen Se Nata To Jor Sakta Hoon
Nemaz Roza Kuch Na Sahi
Shab-E-Barat Patakhe To Chor Sakta Hoon


Dil Logi, Ke Jaan Logi
Meri Jaan Set Hone main Kitna Time Logi


Industrian sari mere yaar kha gaye
Meri Sari jaydaaad rishtedar kha gaye
Marne Ke baad bhi unho ne ki meri saath cheating
banaye mazar to minaar kha gaye


Use karte hein make-up ka daba roze kiyun?
Ban sanwar kar nikalte hain chailaa roze kiyun?
Mummy tum to kehti thee Eid to kab kee gaye
Phir Parosan se gale miltay hain Papa roze kiyun?


Yeh zulfain hain tumhari, ya resham ke jaal,
Kitne khush-naseeb hain vo choohe
Jinhon ne kutre tere baaal


Soldier Soldier.....pressure cooker khol kar
Sabzi meri uraa le gaya


Kuch Kuch Hota Hai,
Exam paas aaye, sir mera dukhaye
Teacher ne na jaaane kyun, dande dikhaye,
Ab to mera sir, jaage na sota hai,
Kya karoon haye, kuch kuch hota hai....


Rafta Rafta dekho aankh meri lari hai
Aaankh jis se lari hai woh meri maa se bhi bari hai


Mard taange waala
Hoon main mard taaange wala
Mujhe teacher kya marega
Main to hoon principal ka saaala


Sheeshi bhari gulab ki, phatthar se phor doon
Pant wali mil jaye to ghanghre wali ko chor doon



Sheeshi bhari gulab ki, sheesha chatak gaya,
Buddhi ne aankh maari, buddha latak gaya



Meri jaib main hai kath, meri rifle bhari hui hai
Mujhe khauf kya police ka, mera baap mantri hai


Neil Armstrong Chand par Gaya aur Farmaya
Ye Saala, Idhar hawa kyon nahin ayaa


Yeh tera chehra hai yaa kele ka chhilka
Jo dekha to dil phisal gaya


Tairna Hai To Paani Main Aao, Kinare Pe Kya Rakha Hai
Ishq Karna Hai To Bahar aa, Ishare main Kya Rakha Hai


Maine tumhare yadon mein ro ro ke tub bhar diya
Magar tum itne bewafa nikle, ki naha ke chal diye


Maine tujhe dekha
Dekhta raha, Dekhta hi gaya
Phir mujhe chashma lag gaya


Bolaa dukaan-daar, ke kyaa chahiye tumhain
Jo bhii kaho ge merii dukaan per wo paoge
maine kahaa ke kutte ke khaane kaa cake hai
bolaa yahiin pe khaaoge yaa leke jaaoge


Aaj phir aaye hitchkiyaan Dil-E-Nasaad mujhe
Shayad us sokh ne bhul e se yaad kiya mujhe


Aaakhain taras gaye tumhara khyal aa gaya
Ab to chehra dikha do, naya saal aaa gaya



Paida hua Wakeel (advocate) to Shaitaan nay kaha
Lo aaj main bhee Sahab-e-Aulad ho gaya.


Jahaan gaaye the khushiyon ke taraane,
Muqaddar dekhiye roye wahiin par
Hue masjid se Gum juute hamaare,
JahaaN se paaye the, khoye wahiin par



Ghar ghar main diya jale
To diwali mat samjho
Agar main tera peeche paroon
To mawali mat samjho



Janaza Mera Nikla, Duniya Dekh Ne Nikli
Magar Woh Zalim Na Nikli, Jiske Liye Mera Janaza Nikla


Teri Beauty Ne Mujko Appeal Kiya,
Dusri Ko Reject Kiya,
Aur Tisri Ko Select Kiya.


Sheeshi bhari gulab ki, phatthar se phor doon
Pant wali mil jaye, to ghanghre wali ko chor doon


Teri zulf kya hai raat ka saaya hai
Sar mudaa deeya to sawera ho jayega


Tere ishq main janam kya se kya haal ho gaya
Badan se badboo aa rahee hai, nahay jamana ho gaya


Aasman se gira ek chaand ka tukda,
Usse bhi sundar aapka mukhra.


Na teer, na talvaar se ghayal hue hain...
Teri sirf ik nazaar se, ilzaam, Shaayar hue hain


Birdy, birdy in the sky
Why you poo poo in my eye
I didn't sigh, i didn't cry
Thank God, Cow's don't fly !


Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
[Audience: Are bhai, aage bhi to bolo.]
Hawa hi hawa hai. 

Sunday, January 4, 2009

SONA JENU

Good Morning


You r my sweet SONA,
I don't want u KHONA,
I want a place in your heart's KONA,
Otherwise i will start RONA,
Atleast Good Morning to kar LONA

Subh ka har pal Zindagi de aapko,
Din ka har Lamha Khushi de aapko,
Jahan gum ki hawa chu ke bhi na gujare,
Khuda woh Jannat si Zamin de Aapko.
Guds Mrng
Suraj ki pahli kiran
Khushi de apko,
Dusri kiran hasi de
Tisri tandurasti
Chouthi kamyabi
Bas kafi ho gaya.
Ab garmi lagegi?!!
..Gud mrng
Morning is God's way of saying:
"One more time! Live life.
Make a difference.
Touch 1 heart.
Encourage 1 mind.
Inspire 1 soul..."
Gud Morg...
A cup of hot hello's,
A plate of crispy wishes,
A spoon of sweet smiles & A slice of great success.
Hope this breakfast makes ur day lovely...!Gud Mrng..!

Gulsan me bhanwron ka fera ho gya,
Purav me suraj ka dera ho gya.
Muskan ke saath aankhe khol pyaare,
Ek baar fir se svera ho gya.
G-get up
O-open ur eyes
O-out of ur bed
D-day has risen
M-merry life
O-old dreams cum true
R-rise$shine
N-new frnds
I-ideas of life
N-nice future
G-GOODDAY 4 U!
Keep the smile,
Leave the tear,
Think of joy,
Forget the fear ,
Hold the laugh,
Leave the pain,
Be jouyous till i sms again.
Look Outside
It's So Pleasent !
Sun Smiling For You !
Trees Dancing For You
Wind Singing For You !
Because,
I have told them all To Wish You..

Happy New Year

Ae Naye Saal Bata Tujh Mein Niya Kia Hai?
Har Taraf Khalq Nay Kiun Shor Macha Rakha Hai

Roshni Din Ki Wohi Taron Bhari Raat Wohi
Aaj Hum Ko Nazar Aati Hai Har Baat Wohi

Aasman Badla Hai Afsoos, Na Badli Hai Zameen
Aik Hindsay Ka Badalna Koi Jiddat To Nahi

Aglay Barson Ki Tarah Hongay Qareenay Teray
Kisay Maloom Nahi Barah Mahinay Teray

Junuary, February Or March Mein Paray Sardee
Or April, May, June Mein Hogee Garmee

Tera Mun Dehar Mein Kuch Khoye Ga Kuch Paye Ga
Apni Miyad Basar Karkay Chala Jaye Ga

Tu Naya Hai To Dikha Subah Nayi, Shaam Nayi
Warna In Aankhon Nay Dekhay Hain Naye Saal Kayi

Be-Sabab Daitay Hain Kiun Log Mubarakbadain
Ghaliban Bhool Gaye Waqt Ki Karwi Yaadain

Teri Aamad Say Ghati Umer, Jahan Mein Sub Ki
Faiz Nay Likhi Hai Yeh Nazam Niralay Dhab Ki

Old Year Sab se ho raha hai Door
Kya karein yahi hai Kudrat ka Dastoor
Purani Yaadein soch kar Udaas na ho Tum
Naya Saal aaya hai chalo..
DHOOM MACHALE, DHOOM MACHALE DHOOM!!


Beet gaya jo saal,Bhul jaayein,
Beet gaya jo saal,Bhul jaayein,
Es Naye Saal ko Gale lagayein,
Karte hai dua hum Rab se sar jhukake...
Es Saal k Sare Sapne pure ho Aapke.
*NAYA SAAL MUBARAK*

Sabke Dilo mein ho sabke liye Pyar,
Aanewala har din laye Khushiyon ka Tyohar,
Es ummid k sath aao bhulke sare Gum,
New Year 2009 ko Hum Sab kare WELCOME

Gul ne gulshan se gulfam bheja hai, sitaro ne aasma se salam bheja hai, mubarak ho apko naya saal, hum ne advance me ye piagam bheja hai.

Tuesday, November 25, 2008

MY THINKS


All other kinds of knowledge are good, but the knowledge of the self is the king of all pervading knowledge. Amongst all the existing rules, the art of government is supreme and amongst all types of knowlwdge the knowledge of Brahman is most superior. Art of government itself is not a bad thing but when selfish and mean persons enter politics, the benevolent philosophy behinds politics gets lost. If the king rules the nation keeping in mind the benefit of religion and society, then politics serves its true purpose, otherwise it just becomes a fight for power. If the politics of the nation has true spirit then it's influence can be easily seen in the people of the society. Similarly, this knowledge of self is mysterious, pure, evidently fruit bearing, and easy to acquire.
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Maanta hun ki zindagi bhi tadpati hai,Par mohabbat to jeena sikhati hai,
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,Par mohabbat zindagi ban jaati hai.

Zindagi ko to hum jab chahen,Maut ki oor khud le jaate hain,
Par ek baar jo kar len ishq,Wo kahaan isko chod paate hain.

Ye duniya kitni khudgarz hai,Ye mohabbat hume batati hai.
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,Par mohabbat zindagi ban jaati hai.

Mohabbat ek jaanlewa aadat hai,Jisme hoti shikwa-shikayat hai,
Par aashiqon k liye to,Yahi unka khuda aur yahi ibadat hai.
Wo mohabbat hi to hai doost,Jo jeevan ko haseen banati hai.
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,Par mohabbat zindagi ban jaati hai.

Mohabbat hi saathi aur tanhaai hai,Yahi hoti hansi aur yahi rulaai hai,
Isi me hote kasme wade saare,Aur isi me hoti bewafai hai.
Wo mohabbat hi hoti hai,Jab aankhon me koi samati hai.
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,Par mohabbat zindagi ban jaati hai.

Mohabbat me sab majboor hote hain,Kabhi paas to kabhi door hote hain,
Par job hi ho jaye samaa,Wo ishq ke nashe me choor hote hain.
Jab yaaden zannat ban jaati hain,To wo mohabbat kehlati hai,
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,Par mohabbat zindagi ban jaati hai.

Jab koi bediyon ko payal kar jaati hai,Har jhalak uski,kayal kar jati hai.
Jab hota uska mehfil me aana,Uski har ada hume bas”ghayal”kar jati hai.
Wo mohabbat ki daastan hai ki,Har saans me kisi ki khusboo aati hai,
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,Par mohabbat zindagi ban jaati hai.

Maanta hun ki zindagi bhi tadpati hai,Par mohabbat to jeena sikhati hai,
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,Par mohabbat zindagi ban jaati hai.